yahan janazon mein qatil sharik hote hain
yahāñ janāzoñ meñ qātil sharīk hote haiñ
so dīn-o-duniyā alag kar ke log rote haiñ
tavīl bujhte charāġhoñ kā silsila hai jise
ham apne zabt kī dīvār meñ pirote haiñ
khurach rahe haiñ vo kapḌoñ se ḳhuun ke chhīñTe
agarche daaġh to ā.īne par bhī hote haiñ
junūñ kamāyā hai is maslahat kī duniyā meñ
aur apnī nasl kī gaaḌī meñ ḳhvāb jote haiñ
bayāniya to samundar bhī ye banātā hai
savār hote haiñ jo kashtiyāñ Dubote haiñ
isī tarah se panapte haiñ ahl-e-haq 'hāris'
ham apne ḳhuun ke qatre zamīñ meñ bote haiñ
yahan janazon mein qatil sharik hote hain
so din-o-duniya alag kar ke log rote hain
tawil bujhte charaghon ka silsila hai jise
hum apne zabt ki diwar mein pirote hain
khurach rahe hain wo kapDon se KHun ke chhinTe
agarche dagh to aaine par bhi hote hain
junun kamaya hai is maslahat ki duniya mein
aur apni nasl ki gaDi mein KHwab jote hain
bayaniya to samundar bhi ye banata hai
sawar hote hain jo kashtiyan Dubote hain
isi tarah se panapte hain ahl-e-haq 'haaris'
hum apne KHun ke qatre zamin mein bote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.