yahan ke hote hue hum magar wahan ke the
yahāñ ke hote hue ham magar vahāñ ke the
yaqīn jitne bhī the vo sabhī gumāñ ke the
jahāñ se zahr ḳharīdā hai tum ne mere liye
tumheñ jo phuul diye vo usī dukāñ ke the
isī chiḌhan se kiye jaate haiñ zamīñ barbād
ki ham sabhī kabhī bāshinde āsmāñ ke the
tere 'alāva ġhazal se pata lage sabhī ko
hamāre sab gile shikve jo darmiyāñ ke the
purāne zaḳhm na.e se yuuñ pūchhte haiñ pata
yahī ki ham to vahāñ ke the tum kahāñ ke the
jahāñ haiñ lagtā nahīñ aise āshiyāñ ke the
ki ham kitābī ḳhayālī kisī jahāñ ke the
yahan ke hote hue hum magar wahan ke the
yaqin jitne bhi the wo sabhi guman ke the
jahan se zahr KHarida hai tum ne mere liye
tumhein jo phul diye wo usi dukan ke the
isi chiDhan se kiye jate hain zamin barbaad
ki hum sabhi kabhi bashinde aasman ke the
tere 'alawa ghazal se pata lage sabhi ko
hamare sab gile shikwe jo darmiyan ke the
purane zaKHm nae se yun puchhte hain pata
yahi ki hum to wahan ke the tum kahan ke the
jahan hain lagta nahin aise aashiyan ke the
ki hum kitabi KHayali kisi jahan ke the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.