Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahan kisi ko kisi par bhi etibar nahin

Sabir Naseerabadi

yahan kisi ko kisi par bhi etibar nahin

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    yahāñ kisī ko kisī par bhī e'tibār nahīñ

    koī ḳhulūs nahīñ aur koī pyaar nahīñ

    vo dekhne se ta'alluq zarūr rakhtā hai

    magar mazāq-e-nazar yuuñ bhī baar baar nahīñ

    sañbhal ke soch ke chhūnā shabāb mai ko

    ye vo sharāb hai jis koī utaar nahīñ

    tum apne zehnoñ ko shaffāf kyoñ nahīñ rakhte

    hamāre shīsha-e-dil par koī ġhubār nahīñ

    luTā ġhair ke narġhe meñ har ḳhushī apnī

    hamārī tarh koī bhī to jāñ-nisār nahīñ

    nazar se moḌ duuñ mauj-e-balā magar 'sābir'

    tirī nazar meñ yaqīñ sabr inkisār nahīñ

    yahan kisi ko kisi par bhi e'tibar nahin

    koi KHulus nahin aur koi pyar nahin

    wo dekhne se ta'alluq zarur rakhta hai

    magar mazaq-e-nazar yun bhi bar bar nahin

    sanbhal ke soch ke chhuna shabab ki mai ko

    ye wo sharab hai jis ka koi utar nahin

    tum apne zehnon ko shaffaf kyon nahin rakhte

    hamare shisha-e-dil par koi ghubar nahin

    luTa di ghair ke narghe mein har KHushi apni

    hamari tarh koi bhi to jaan-nisar nahin

    nazar se moD dun mauj-e-bala magar 'sabir'

    teri nazar mein yaqin sabr inkisar nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now