yahan kya qatl KHwabon ka hua hai
yahāñ kyā qatl ḳhvāboñ kā huā hai
tirī āñkhoñ meñ kyoñ curfew lagā hai
maiñ jis ke ishq meñ miTTī huā thā
use sone ke paanī se likhā hai
mirī āñkhoñ meñ aksar dikhne vaalā
mirī āvāz ke pīchhe chhupā hai
jahāñ bichhḌe the ham un sāhiloñ par
hamārā naam lahroñ ne likhā hai
usī se jal rahī hai merī cigarette
jo merī mez par sūraj rakhā hai
yahan kya qatl KHwabon ka hua hai
teri aankhon mein kyon curfew laga hai
main jis ke ishq mein miTTi hua tha
use sone ke pani se likha hai
meri aankhon mein aksar dikhne wala
meri aawaz ke pichhe chhupa hai
jahan bichhDe the hum un sahilon par
hamara nam lahron ne likha hai
usi se jal rahi hai meri cigarette
jo meri mez par suraj rakha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.