yahan masruf ho kar bhi raha be-kar itna hi
yahāñ masrūf ho kar bhī rahā be-kār itnā hī
na koī ishq thā aisā magar maiñ ḳhaar itnā hī
bichhaḌne par tulā jab vo sunī koī nahīñ us ne
ki āḳhir saare meñ thā maiñ bhī hisse-dār itnā hī
ba-zāhir to yahī lagtā hai sab āsān hī hogā
haqīqat meñ magar ye kaam hai dushvār itnā hī
ab us ne koī likh kar to nahīñ denī hameñ ye baat
ki sab ke sāmne ho saktā hai iqrār itnā hī
bahut vāzeh batā dene se bantī hī nahīñ vo baat
zarūrī hai kisī bhī sher meñ iz.hār itnā hī
koī palḌā to bhārī honā hai āḳhir tarāzū kā
abhī iqrār hai us kā yahāñ inkār itnā hī
zarūrat se ziyāda to maiñ rakhtā hī nahīñ hargiz
mirā hissa hai puurā aur mujhe darkār itnā hī
izāfa karnā hai miqdār meñ āhista āhista
ki aisā kaam ho saktā hai pahlī baar itnā hī
yahan masruf ho kar bhi raha be-kar itna hi
na koi ishq tha aisa magar main KHar itna hi
bichhaDne par tula jab wo suni koi nahin us ne
ki aaKHir sare mein tha main bhi hisse-dar itna hi
ba-zahir to yahi lagta hai sab aasan hi hoga
haqiqat mein magar ye kaam hai dushwar itna hi
ab us ne koi likh kar to nahin deni hamein ye baat
ki sab ke samne ho sakta hai iqrar itna hi
bahut wazeh bata dene se banti hi nahin wo baat
zaruri hai kisi bhi sher mein izhaar itna hi
koi palDa to bhaari hona hai aaKHir taraazu ka
abhi iqrar hai us ka yahan inkar itna hi
zarurat se ziyaada to main rakhta hi nahin hargiz
mera hissa hai pura aur mujhe darkar itna hi
izafa karna hai miqdar mein aahista aahista
ki aisa kaam ho sakta hai pahli bar itna hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.