yahan nahin hai wahan nahin hai idhar nahin hai udhar nahin hai
yahan nahin hai wahan nahin hai idhar nahin hai udhar nahin hai
Shaad Aarfi
MORE BYShaad Aarfi
yahāñ nahīñ hai vahāñ nahīñ hai idhar nahīñ hai udhar nahīñ hai
magar kisī tarah dil nahīñ māntā ki vo jalva-gar nahīñ hai
kisī bhī dar par ilāj-e-āvezish-e-yaqīn-o-gumāñ na hogā
idhar chalā aa ki mai-kade meñ agar nahīñ hai magar nahīñ hai
hazār-hā sāmne kī bātoñ se jaan paḌtī hai shā.irī meñ
vo kaun se pesh-e-pā mazāmīñ haiñ jin pe merī nazar nahīñ hai
jabīñ pe biñdī nazar meñ jaadū laboñ pa bijlī kamar pe gesū
vo merī hairat ko dekhte haiñ unheñ kuchh apnī ḳhabar nahīñ hai
nahīñ jo qāsid kā ānā-jānā fareb khāne lagā zamāna
to ye haqīqat ki rabt-e-behad ko hājat-e-nāma-bar nahīñ hai
naqāb uThne meñ der kyoñ hai ye kaun samjhe ye kaun jaane
kise ḳhabar hai ki ḳhvāhish-e-dīd vaqt se peshtar nahīñ hai
ġhalat-bayānī se 'shād' ahl-e-suḳhan abhī kaam le rahe haiñ
nahīñ hai har-chand vo zamāna dahan nahīñ hai kamar nahīñ hai
yahan nahin hai wahan nahin hai idhar nahin hai udhar nahin hai
magar kisi tarah dil nahin manta ki wo jalwa-gar nahin hai
kisi bhi dar par ilaj-e-awezish-e-yaqin-o-guman na hoga
idhar chala aa ki mai-kade mein agar nahin hai magar nahin hai
hazar-ha samne ki baaton se jaan paDti hai shairi mein
wo kaun se pesh-e-pa mazamin hain jin pe meri nazar nahin hai
jabin pe bindi nazar mein jadu labon pa bijli kamar pe gesu
wo meri hairat ko dekhte hain unhen kuchh apni KHabar nahin hai
nahin jo qasid ka aana-jaana fareb khane laga zamana
to ye haqiqat ki rabt-e-behad ko hajat-e-nama-bar nahin hai
naqab uThne mein der kyon hai ye kaun samjhe ye kaun jaane
kise KHabar hai ki KHwahish-e-did waqt se peshtar nahin hai
ghalat-bayani se 'shad' ahl-e-suKHan abhi kaam le rahe hain
nahin hai har-chand wo zamana dahan nahin hai kamar nahin hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 260)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.