yahan rahne mein dushwari bahut hai
yahāñ rahne meñ dushvārī bahut hai
yahī miTTī magar pyārī bahut hai
havas se milte-julte ishq meñ ab
junūñ kam hai adākārī bahut hai
chalo ab ishq kā hī khel kheleñ
idhar kuchh din se bekārī bahut hai
maiñ saa.e ko uThānā chāhtā huuñ
uThā letā magar bhārī bahut hai
idhar bhī ḳhāmushī kā shor barpā
udhar sunte haiñ tayyārī bahut hai
zabāñ se sach nikal jaatā hai aksar
abhī ham meñ ye bīmārī bahut hai
yahan rahne mein dushwari bahut hai
yahi miTTi magar pyari bahut hai
hawas se milte-julte ishq mein ab
junun kam hai adakari bahut hai
chalo ab ishq ka hi khel khelen
idhar kuchh din se bekari bahut hai
main sae ko uThana chahta hun
uTha leta magar bhaari bahut hai
idhar bhi KHamushi ka shor barpa
udhar sunte hain tayyari bahut hai
zaban se sach nikal jata hai aksar
abhi hum mein ye bimari bahut hai
- Book : Aks e Gumgushta (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.