yahan sab hi badalna chahte hain aadmi ko
yahāñ sab hī badalnā chāhte haiñ aadmī ko
magar karte nahīñ kuchh bhī zarā sī behtarī ko
agar maiñ bhī likhūñgā roz apnī muflisī ko
burā lag jā.egā saḌkoñ pe rahtī zindagī ko
hameñ har pal sahārā de rahī hai shā.erī par
batāo ham sahārā de sakeñge shā.erī ko
vahī ik shai laḌe haiñ raat din jis ke liye ham
milī hai ab to kaise chhoḌ deñ is raushnī ko
yahan sab hi badalna chahte hain aadmi ko
magar karte nahin kuchh bhi zara si behtari ko
agar main bhi likhunga roz apni muflisi ko
bura lag jaega saDkon pe rahti zindagi ko
hamein har pal sahaara de rahi hai shaeri par
batao hum sahaara de sakenge shaeri ko
wahi ek shai laDe hain raat din jis ke liye hum
mili hai ab to kaise chhoD den is raushni ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.