yahan se Dub kar jaana hai mujhko
yahāñ se Duub kar jaanā hai mujh ko
samundar meñ utar jaanā hai mujh ko
abhī to kū-ba-kū hai ḳhaak merī
abhī to dar-ba-dar jaanā hai mujh ko
kabhī jaate hue lambe safar par
achānak hī Thahar jaanā hai mujh ko
ye hasrat hai kahūñ maiñ dostoñ se
huī ab shaam ghar jaanā hai mujh ko
tujhe apnā sabhī kuchh sauñpnā hai
tire dāman meñ bhar jaanā hai mujh ko
yahan se Dub kar jaana hai mujh ko
samundar mein utar jaana hai mujh ko
abhi to ku-ba-ku hai KHak meri
abhi to dar-ba-dar jaana hai mujh ko
kabhi jate hue lambe safar par
achanak hi Thahar jaana hai mujh ko
ye hasrat hai kahun main doston se
hui ab sham ghar jaana hai mujh ko
tujhe apna sabhi kuchh saunpna hai
tere daman mein bhar jaana hai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.