yahan to paun sadi se yahi kahani hai
yahāñ to paun sadī se yahī kahānī hai
usuul mar ga.e tāqat kī hukmrānī hai
jo un kī baat na maane miTā diyā jaa.e
hukūmatoñ kī ye 'ādat bahut purānī hai
kisī yazīd kī bai'at jo maiñ nahīñ kartā
mirī anā mire ajdād kī nishānī hai
bhare hue haiñ hamāre badan baġhāvat se
ragoñ meñ apne miyāñ ḳhuun hai na paanī hai
hai mo'jiza ki luTere haiñ chār-sū phir bhī
hamārā shahr mohabbat kī rājdhānī hai
nahīñ hai 'aql se apnī muḳhālifat lekin
'umair' ham ne hamesha se dil kī maanī hai
yahan to paun sadi se yahi kahani hai
usul mar gae taqat ki hukmrani hai
jo un ki baat na mane miTa diya jae
hukumaton ki ye 'adat bahut purani hai
kisi yazid ki bai'at jo main nahin karta
meri ana mere ajdad ki nishani hai
bhare hue hain hamare badan baghawat se
ragon mein apne miyan KHun hai na pani hai
hai mo'jiza ki luTere hain chaar-su phir bhi
hamara shahr mohabbat ki rajdhani hai
nahin hai 'aql se apni muKHalifat lekin
'umair' hum ne hamesha se dil ki mani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.