yahan to shahr se diwar-o-dar hi ghaeb hain
yahāñ to shahr se dīvār-o-dar hī ġhā.eb haiñ
chhatoñ ke ba.ad makānoñ ko le uḌī hai havā
tamām shahr thā saḌkoñ pe aaj raat ga.e
sunā hai phir se javānoñ ko le uḌī hai havā
safar hai raat kā sahrā se vāpsī kaisī
tumhāre saare nishānoñ ko le uḌī hai havā
chalegī vaqt kī āñdhī to kis ko baḳhshegī
na jaane kitne zamānoñ ko le uḌī hai havā
rahā na ab vo lab-e-jū rahā na mai-ḳhāna
hamāre saare Thikānoñ ko le uḌī hai havā
chalo vo vasl kā va.ada bhī kal-adam Thahrā
tumhāre saare bahānoñ ko le uḌī hai havā
havā ke dosh pe uḌte to haiñ parinde par
nazar ke sāmne dānoñ ko le uḌī hai havā
paḌe haiñ tiir yahāñ ġhāziyoñ ke tarkash meñ
añdherī shab meñ kamānoñ ko le uḌī hai havā
ġhalat the saare vo mīzāñ fareb taḳhmīne
hamāre saare gumānoñ ko le uḌī hai havā
rakhe the kis ne vo aurāq tāqche pe 'ayāz'
vo chāhatoñ ke fasānoñ ko le uḌī hai havā
yahan to shahr se diwar-o-dar hi ghaeb hain
chhaton ke baad makanon ko le uDi hai hawa
tamam shahr tha saDkon pe aaj raat gae
suna hai phir se jawanon ko le uDi hai hawa
safar hai raat ka sahra se wapsi kaisi
tumhaare sare nishanon ko le uDi hai hawa
chalegi waqt ki aandhi to kis ko baKHshegi
na jaane kitne zamanon ko le uDi hai hawa
raha na ab wo lab-e-ju raha na mai-KHana
hamare sare Thikanon ko le uDi hai hawa
chalo wo wasl ka wada bhi kal-adam Thahra
tumhaare sare bahanon ko le uDi hai hawa
hawa ke dosh pe uDte to hain parinde par
nazar ke samne danon ko le uDi hai hawa
paDe hain tir yahan ghaziyon ke tarkash mein
andheri shab mein kamanon ko le uDi hai hawa
ghalat the sare wo mizan fareb taKHmine
hamare sare gumanon ko le uDi hai hawa
rakhe the kis ne wo auraq taqche pe 'ayaz'
wo chahaton ke fasanon ko le uDi hai hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.