yahan yun hi nahin pohncha hun main
yahāñ yuuñ hī nahīñ pohñchā huuñ maiñ
musalsal raat din dauḌā huuñ maiñ
tirī zanjīr kā hissa huuñ maiñ
rihā ho bhī nahīñ saktā huuñ maiñ
tumhārī oT meñ jitnā huuñ maiñ
bas utnā hī nazar aatā huuñ maiñ
tumhāre sāmne baiThā huuñ maiñ
yahī to soch kar zinda huuñ maiñ
Darātā hai ḳhudā se jab koī
ḳhudā ke pīchhe chhup jaatā huuñ maiñ
pareshāñ dhuup kartī hai mujhe
shikāyat chāñd se kartā huuñ maiñ
bahut kuchh kahnā paḌtā ho jahāñ
vahāñ par kuchh nahīñ kahtā huuñ maiñ
manā legī use mā'lūm hai
abhī sach-much nahīñ rūThā huuñ maiñ
yahan yun hi nahin pohncha hun main
musalsal raat din dauDa hun main
teri zanjir ka hissa hun main
riha ho bhi nahin sakta hun main
tumhaari oT mein jitna hun main
bas utna hi nazar aata hun main
tumhaare samne baiTha hun main
yahi to soch kar zinda hun main
Daraata hai KHuda se jab koi
KHuda ke pichhe chhup jata hun main
pareshan dhup karti hai mujhe
shikayat chand se karta hun main
bahut kuchh kahna paDta ho jahan
wahan par kuchh nahin kahta hun main
mana legi use ma'lum hai
abhi sach-much nahin ruTha hun main
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 115)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.