yahi aksar auqat hum dekhte hain
yahī aksar auqāt ham dekhte haiñ
hamārī taraf aap kam dekhte haiñ
tirī zulf ke pech-o-ḳham dekhte haiñ
ki dar haa.e dair-o-haram dekhte haiñ
ḳhudā kī qasam kyā nahīñ dekhte ham
tumheñ jab ḳhudā kī qasam dekhte haiñ
dikhātī hai kyā kyā karishme mohabbat
ye āb-e-baqā hai ki sam dekhte haiñ
sitam bar sitam zindagī ke muhāfiz
sitamgar ko vaqf-e-sitam dekhte haiñ
agar ham bahut kam-nazar haiñ to kyā hai
kuchh ahl-e-nazar bhī to kam dekhte haiñ
hamāre ḳhudā haiñ magar aap kab tak
raheñge sanam ke sanam dekhte haiñ
ḳhudārā na pūchho na pūchho ḳhudārā
jo ham dekhte the jo ham dekhte haiñ
nazar aa.e aa.e na aa.e na aa.e
navishte meñ kyā hai raqam dekhte haiñ
kisī ke mahāsin kisī ke ma.ā.ib
ye tum dekhte ho vo ham dekhte haiñ
ka.ī dekhne vaale aise bhī haiñ jo
ḳhushī dekhte haiñ na ġham dekhte haiñ
kab aa.egā din jab ġharīboñ kī jānib
uTheñge tumhāre qadam dekhte haiñ
maiñ un mutriboñ kī taraf dekhtā huuñ
jo sur dekhte haiñ na sam dekhte haiñ
nahīñ dekhte aañkh uThā kar ġhalat hai
nahīñ vā.iz-e-mohtaram dekhte haiñ
jinheñ naaz hai quvvat-e-bāsira par
vahī log 'sarshār' kam dekhte haiñ
yahi aksar auqat hum dekhte hain
hamari taraf aap kam dekhte hain
teri zulf ke pech-o-KHam dekhte hain
ki dar hae dair-o-haram dekhte hain
KHuda ki qasam kya nahin dekhte hum
tumhein jab KHuda ki qasam dekhte hain
dikhati hai kya kya karishme mohabbat
ye aab-e-baqa hai ki sam dekhte hain
sitam bar sitam zindagi ke muhafiz
sitamgar ko waqf-e-sitam dekhte hain
agar hum bahut kam-nazar hain to kya hai
kuchh ahl-e-nazar bhi to kam dekhte hain
hamare KHuda hain magar aap kab tak
rahenge sanam ke sanam dekhte hain
KHudara na puchho na puchho KHudara
jo hum dekhte the jo hum dekhte hain
nazar aae aae na aae na aae
nawishte mein kya hai raqam dekhte hain
kisi ke mahasin kisi ke maaib
ye tum dekhte ho wo hum dekhte hain
kai dekhne wale aise bhi hain jo
KHushi dekhte hain na gham dekhte hain
kab aaega din jab gharibon ki jaanib
uThenge tumhaare qadam dekhte hain
main un mutribon ki taraf dekhta hun
jo sur dekhte hain na sam dekhte hain
nahin dekhte aankh uTha kar ghalat hai
nahin waiz-e-mohtaram dekhte hain
jinhen naz hai quwwat-e-basira par
wahi log 'sarshaar' kam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.