yahi bahut hai ki ahbab puchh lete hain
yahī bahut hai ki ahbāb pūchh lete haiñ
mare ujaḌne ke asbāb pūchh lete haiñ
maiñ pūchh letā huuñ yāroñ se rat-jagoñ kā sabab
magar vo mujh se mire ḳhvāb pūchh lete haiñ
isī galī se jahāñ āftāb ubhrā hai
kahāñ gayā hai vo mahtāb, pūchh lete haiñ
ab aa ga.e haiñ to is dasht ke faqīroñ se
rumūz-e-mimbar-o-mehrāb pūchh lete haiñ
kisī ko jā ke batāte haiñ hāl-e-dil 'nāsik'
kisī se hijr ke ādāb pūchh lete haiñ
yahi bahut hai ki ahbab puchh lete hain
mare ujaDne ke asbab puchh lete hain
main puchh leta hun yaron se rat-jagon ka sabab
magar wo mujh se mere KHwab puchh lete hain
isi gali se jahan aaftab ubhra hai
kahan gaya hai wo mahtab, puchh lete hain
ab aa gae hain to is dasht ke faqiron se
rumuz-e-mimbar-o-mehrab puchh lete hain
kisi ko ja ke batate hain haal-e-dil 'nasik'
kisi se hijr ke aadab puchh lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.