yahi be-laus mohabbat yahi gham-KHwari-e-KHalq
yahī be-laus mohabbat yahī ġham-ḳhvāri-e-ḳhalq
aur merāj kise kahte haiñ insānoñ kī
naam hai kyā isī hañgāme kā āġhāz-e-shabāb
ek āñdhī sī chalī aatī hai armānoñ kī
jis qadar ishq se hotī hai fuzūñ vus.at-e-fikr
aql rakhtī hai binā.eñ na.e zindānoñ kī
apnī maut apnī tabāhī kī taraf kyā dekheñ
ki nigāheñ taraf-e-sham.a haiñ parvānoñ kī
ho ga.ī umr bahāroñ ke tasavvur meñ tamām
sair karte rahe nā-dīd gulistānoñ kī
mā-sivā is ke nahīñ aur kuchh afsāna-e-hind
ek tārīḳh hai ujḌe hue kāshānoñ kī
yahi be-laus mohabbat yahi gham-KHwari-e-KHalq
aur meraj kise kahte hain insanon ki
nam hai kya isi hangame ka aaghaz-e-shabab
ek aandhi si chali aati hai armanon ki
jis qadar ishq se hoti hai fuzun wusat-e-fikr
aql rakhti hai binaen nae zindanon ki
apni maut apni tabahi ki taraf kya dekhen
ki nigahen taraf-e-shama hain parwanon ki
ho gai umr bahaaron ke tasawwur mein tamam
sair karte rahe na-did gulistanon ki
ma-siwa is ke nahin aur kuchh afsana-e-hind
ek tariKH hai ujDe hue kashanon ki
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 901)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.