yahi chaman tha yahi gul yahi kali pahle
yahi chaman tha yahi gul yahi kali pahle
Zaheer Nashad Darbhangwi
MORE BYZaheer Nashad Darbhangwi
yahī chaman thā yahī gul yahī kalī pahle
tire baġhair magar thī na dilkashī pahle
dayār-e-ishq meñ ham tum the ajnabī pahle
kisī ko ham se shikāyat na thī kabhī pahle
chale haiñ aap jalāne zamāne bhar ke charāġh
ḳhud apne ghar meñ to kar liije raushnī pahle
ham aaj us kā tasavvur bhī kar nahīñ sakte
guzar ga.ī hai chaman meñ jo zindagī pahle
kalī ko girya-e-shabnam kā raaz thā ma.alūm
har ek shai se chaman meñ vahī hañsī pahle
tumhāre aate hī har-sū charāġh jal uTThe
jahāñ pe varna musallat thī tīrgī pahle
ye sochtā huuñ to uljhan sī dil ko hotī hai
tumhāre husn meñ kitnī thī sādgī pahle
ab apne ġham se hī fursat nahīñ hai ai 'nāshād'
ġham-e-habīb meñ hotī thī shā.erī pahle
yahi chaman tha yahi gul yahi kali pahle
tere baghair magar thi na dilkashi pahle
dayar-e-ishq mein hum tum the ajnabi pahle
kisi ko hum se shikayat na thi kabhi pahle
chale hain aap jalane zamane bhar ke charagh
KHud apne ghar mein to kar lije raushni pahle
hum aaj us ka tasawwur bhi kar nahin sakte
guzar gai hai chaman mein jo zindagi pahle
kali ko girya-e-shabnam ka raaz tha malum
har ek shai se chaman mein wahi hansi pahle
tumhaare aate hi har-su charagh jal uTThe
jahan pe warna musallat thi tirgi pahle
ye sochta hun to uljhan si dil ko hoti hai
tumhaare husn mein kitni thi sadgi pahle
ab apne gham se hi fursat nahin hai ai 'nashad'
gham-e-habib mein hoti thi shaeri pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.