yahi dua hai koi sham be-sahar na rahe
yahī du'ā hai koī shaam be-sahar na rahe
sukūt-e-shab meñ koī āh-e-be-asar na rahe
matā'-e-saif-o-qalam baañT do zamāne ko
bayān-e-kaifiyat-e-dil meñ koī Dar na rahe
jalāo tīra-shabī meñ diye nigāhoñ ke
añdherī raat ujāloñ se be-ḳhabar na rahe
banā do dair-o-haram ko milāp kā markaz
du'ā-e-shaiḳh-o-barahman meñ kuchh asar na rahe
haiñ sarbarāh jo ab kārvān-e-millat ke
ab un ke qaul zamāne meñ mo'tabar na rahe
ḳhulūs-e-mehr-o-muravvat se jo kareñ ḳhidmat
hamāre 'ahd meñ ab aise chārāgar na rahe
charāġh aise jalāo fusūn-e-shab ke liye
vujūd-e-tīra-shabī kī unheñ ḳhabar na rahe
yahi du'a hai koi sham be-sahar na rahe
sukut-e-shab mein koi aah-e-be-asar na rahe
mata'-e-saif-o-qalam banT do zamane ko
bayan-e-kaifiyat-e-dil mein koi Dar na rahe
jalao tira-shabi mein diye nigahon ke
andheri raat ujalon se be-KHabar na rahe
bana do dair-o-haram ko milap ka markaz
du'a-e-shaiKH-o-barahman mein kuchh asar na rahe
hain sarbarah jo ab karwan-e-millat ke
ab un ke qaul zamane mein mo'tabar na rahe
KHulus-e-mehr-o-murawwat se jo karen KHidmat
hamare 'ahd mein ab aise chaaragar na rahe
charagh aise jalao fusun-e-shab ke liye
wujud-e-tira-shabi ki unhen KHabar na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.