yahi hai ishq ka anjam shahr mein tere
yahī hai 'ishq kā anjām shahr meñ tere
ki ho gayā huuñ maiñ badnām shahr meñ tere
tire firāq meñ likkhī thī jo ġhazal maiñ ne
huī hai aaj vo nīlām shahr meñ tere
guzar gayā hai mirā din ḳhudā ḳhudā kar ke
kaTegī kaise mirī shaam shahr meñ tere
chhupā liye tire dāman ke daaġh aur dhabbe
lagā ke apne pe ilzām shahr meñ tere
hamārī duniyā meñ din bhī hai raat kī mānind
ki chāñd niklā sar-e-shām shahr meñ tere
misāl-e-ā.ina raushan huuñ saarī duniyā meñ
na aayā phir bhī kisī kaam shahr meñ tere
adab kī bazm meñ gumnām to nahīñ 'afsar'
sunā hai sab ne mirā naam shahr meñ tere
yahi hai 'ishq ka anjam shahr mein tere
ki ho gaya hun main badnam shahr mein tere
tere firaq mein likkhi thi jo ghazal main ne
hui hai aaj wo nilam shahr mein tere
guzar gaya hai mera din KHuda KHuda kar ke
kaTegi kaise meri sham shahr mein tere
chhupa liye tere daman ke dagh aur dhabbe
laga ke apne pe ilzam shahr mein tere
hamari duniya mein din bhi hai raat ki manind
ki chand nikla sar-e-sham shahr mein tere
misal-e-aina raushan hun sari duniya mein
na aaya phir bhi kisi kaam shahr mein tere
adab ki bazm mein gumnam to nahin 'afsar'
suna hai sab ne mera nam shahr mein tere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.