yahi hai unki nazakat to haal kya hoga
yahī hai un kī nazākat to haal kyā hogā
mujhe ye Dar hai ki vaqt-e-visāl kyā hogā
kisī kā sabza-e-turbat na ho sakā pāmāl
ḳhirām-e-nāz se dil pā.emāl kyā hogā
lahad par aane lagā kyuuñ pas-e-fanā koī
miTe huoñ kā kisī ko ḳhayāl kyā hogā
vo sin hī kyā hai samajh ho jo aisī bātoñ kī
vo pūchhte haiñ ki roz-e-visāl kyā hogā
na dil rahā na tabī.at rahī vo pahlī sī
kisī kī baat kā ham ko malāl kyā hogā
kanār-e-shauq meñ kyuuñ aa.ine kī ḳhvāhish hai
vo baat hī nahīñ chehra niDhāl kyā hogā
ajal ḳhudā ke liye rahm kar hasīnoñ par
milā ke ḳhaak meñ husn-o-jamāl kyā hogā
mirī ḳhushī kī unheñ kis liye ḳhushī hogī
mire malāl kā un ko malāl kyā hogā
batā.eñ kyā tumheñ kyuuñ kar gale lagā.eñge
batā.eñ kyā tumheñ roz-e-visāl kyā hogā
sharāb piine kī aadat hai mujh ko chullū se
mujhe milā bhī to jām-e-sifāl kyā hogā
'riyāz' umr to guzrī siyāhkārī meñ
ḳhabar nahīñ ki hamārā ma.aal kyā hogā
yahi hai un ki nazakat to haal kya hoga
mujhe ye Dar hai ki waqt-e-visal kya hoga
kisi ka sabza-e-turbat na ho saka pamal
KHiram-e-naz se dil paemal kya hoga
lahad par aane laga kyun pas-e-fana koi
miTe huon ka kisi ko KHayal kya hoga
wo sin hi kya hai samajh ho jo aisi baaton ki
wo puchhte hain ki roz-e-visal kya hoga
na dil raha na tabiat rahi wo pahli si
kisi ki baat ka hum ko malal kya hoga
kanar-e-shauq mein kyun aaine ki KHwahish hai
wo baat hi nahin chehra niDhaal kya hoga
ajal KHuda ke liye rahm kar hasinon par
mila ke KHak mein husn-o-jamal kya hoga
meri KHushi ki unhen kis liye KHushi hogi
mere malal ka un ko malal kya hoga
bataen kya tumhein kyun kar gale lagaenge
bataen kya tumhein roz-e-visal kya hoga
sharab pine ki aadat hai mujh ko chullu se
mujhe mila bhi to jam-e-sifal kya hoga
'riyaz' umr to guzri siyahkari mein
KHabar nahin ki hamara maal kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.