Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi hum ko guman aksar rahe hain

Shikha Pachouly

yahi hum ko guman aksar rahe hain

Shikha Pachouly

MORE BYShikha Pachouly

    yahī ham ko gumāñ aksar rahe haiñ

    hamāre naam vo jaañ kar rahe haiñ

    abhī hai daur-e-āġhāz-e-mohabbat

    vo merā dil dukhāte Dar rahe haiñ

    vafā un tabī.at meñ nahīñ hai

    vo koshish to yaqīnan kar rahe haiñ

    qazā ḳhauf hai logoñ ko lekin

    ham apnī zindagī se Dar rahe haiñ

    vahī bhaTke hue haiñ rāste se

    ba-zāt-e-ḳhud jo ik rahbar rahe haiñ

    jo apne aap se bhī ḳhush nahīñ haiñ

    ḳhafā mujh se vahī aksar rahe haiñ

    mirī rusvā.ī ho jaa.e na zinda

    vo merā naam le kar mar rahe haiñ

    kareñge shā.erī bhī agle dam par

    abhī to ham mohabbat kar rahe haiñ

    'shikhā' maiñ mīThe paanī nadī huuñ

    mujhe kyoñ log khārā kar rahe haiñ

    yahi hum ko guman aksar rahe hain

    hamare nam wo jaan kar rahe hain

    abhi hai daur-e-aghaz-e-mohabbat

    wo mera dil dukhate Dar rahe hain

    wafa un ki tabiat mein nahin hai

    wo koshish to yaqinan kar rahe hain

    qaza ka KHauf hai logon ko lekin

    hum apni zindagi se Dar rahe hain

    wahi bhaTke hue hain raste se

    ba-zat-e-KHud jo ek rahbar rahe hain

    jo apne aap se bhi KHush nahin hain

    KHafa mujh se wahi aksar rahe hain

    meri ruswai ho jae na zinda

    wo mera nam le kar mar rahe hain

    karenge shaeri bhi agle dam par

    abhi to hum mohabbat kar rahe hain

    'shikha' main miThe pani ki nadi hun

    mujhe kyon log khaara kar rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now