yahi haqir si duniya jo KHak-dan lage
yahī haqīr sī duniyā jo ḳhāk-dān lage
bulandiyoñ se jo dekho to āsmān lage
vo zindagī kī kaḌī dhuup sah nahīñ saktā
hai ek abr kā TukḌā bhī sā.ebān lage
use bhī jiine kā haq hai use bhī jiine do
jo be-zabān nahīñ aur be-zabān lage
batāo nazr karūñ maiñ kise matā-e-hayāt
maiñ jis ko pyaar karūñ vo bhī bad-gumān lage
usī ko sauñp de sarmāya-e-hunar apnā
matā-e-lauh-o-qalam kā jo pāsbān lage
ravāñ-davāñ thā jahāñ ābshār-e-naġhma-o-nūr
vo shahr-e-aish-o-tarab kitnā be-amān lage
ye apne zauq-e-tajassus kī baat hai varna
vo be-surāġh lage hai na be-nishān lage
vo baat nok-e-qalam tak zarūr aa.egī
jo harf harf haqīqat kī tarjumān lage
ḳhamoshiyoñ meñ bhī sargoshiyoñ ke haiñ ambār
tirī nigāh mire ġham kī dāstān lage
hazār saal masarrat kī zindagī bhī 'asar'
na ek lamha na ik pal na ek aan lage
yahi haqir si duniya jo KHak-dan lage
bulandiyon se jo dekho to aasman lage
wo zindagi ki kaDi dhup sah nahin sakta
hai ek abr ka TukDa bhi saeban lage
use bhi jine ka haq hai use bhi jine do
jo be-zaban nahin aur be-zaban lage
batao nazr karun main kise mata-e-hayat
main jis ko pyar karun wo bhi bad-guman lage
usi ko saunp de sarmaya-e-hunar apna
mata-e-lauh-o-qalam ka jo pasban lage
rawan-dawan tha jahan aabshaar-e-naghma-o-nur
wo shahr-e-aish-o-tarab kitna be-aman lage
ye apne zauq-e-tajassus ki baat hai warna
wo be-suragh lage hai na be-nishan lage
wo baat nok-e-qalam tak zarur aaegi
jo harf harf haqiqat ki tarjuman lage
KHamoshiyon mein bhi sargoshiyon ke hain ambar
teri nigah mere gham ki dastan lage
hazar sal masarrat ki zindagi bhi 'asar'
na ek lamha na ek pal na ek aan lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.