Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi ek gham ziyaada rah gaya hai

Sadia Swera

yahi ek gham ziyaada rah gaya hai

Sadia Swera

MORE BYSadia Swera

    yahī ik ġham ziyāda rah gayā hai

    adhūrā koī vā'da rah gayā hai

    use hālāt ne badlā nahīñ hai

    vo saada thā vo saada rah gayā hai

    vo andar se to kab mar chukā hai

    faqat ḳhālī labāda rah gayā hai

    ye kyā baTvārā kar baiThe ho tum bhī

    sabhī kuchh aadhā aadhā rah gayā hai

    kisī ko mil ga.ī hai us chāhat

    kisī ke paas vā'da rah gayā hai

    safar to ḳhatm kab ho chukā hai

    saroñ par bojh laadā rah gayā hai

    yahi ek gham ziyaada rah gaya hai

    adhura koi wa'da rah gaya hai

    use haalat ne badla nahin hai

    wo sada tha wo sada rah gaya hai

    wo andar se to kab ka mar chuka hai

    faqat KHali labaada rah gaya hai

    ye kya baTwara kar baiThe ho tum bhi

    sabhi kuchh aadha aadha rah gaya hai

    kisi ko mil gai hai us ki chahat

    kisi ke pas wa'da rah gaya hai

    safar to KHatm kab ka ho chuka hai

    saron par bojh lada rah gaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now