yahi kafi tha tawajjoh ko haTane ke liye
yahī kaafī thā tavajjoh ko haTāne ke liye
zaḳhm hote the mire paas dikhāne ke liye
jhuknā paḌtā hai mujhe zaḳhm khujāne ke liye
itnī zanjīr kahāñ paañv uThāne ke liye
log samjhe haiñ mohabbat ko liye baiThā huuñ
hādse aur bhī hote haiñ sunāne ke liye
muntazir ghar meñ mire koī nahīñ hotā thā
der kartā thā faqat der se aane ke liye
koī tehvār mire vāste tehvār nahīñ
ik tirā hijr hī kaafī hai manāne ke liye
bhuul jā dost mire apnī mohabbat de kar
qarz letā hai yahāñ kaun chukāne ke liye
kiil tasvīr hathauḌī ko liye phirtā huuñ
koī dīvār nahīñ miltī lagāne ke liye
ek lamhe meñ mire bojh ke nīche aa kar
saañs niklā hai mirā jaan chhuḌāne ke liye
rabt TuuTā thā mirī aañkh ke khulte hī 'uzair'
phir na.e ḳhvāb meñ utrā thā purāne ke liye
yahi kafi tha tawajjoh ko haTane ke liye
zaKHm hote the mere pas dikhane ke liye
jhukna paDta hai mujhe zaKHm khujaane ke liye
itni zanjir kahan panw uThane ke liye
log samjhe hain mohabbat ko liye baiTha hun
hadse aur bhi hote hain sunane ke liye
muntazir ghar mein mere koi nahin hota tha
der karta tha faqat der se aane ke liye
koi tehwar mere waste tehwar nahin
ek tera hijr hi kafi hai manane ke liye
bhul ja dost mere apni mohabbat de kar
qarz leta hai yahan kaun chukane ke liye
kil taswir hathauDi ko liye phirta hun
koi diwar nahin milti lagane ke liye
ek lamhe mein mere bojh ke niche aa kar
sans nikla hai mera jaan chhuDane ke liye
rabt TuTa tha meri aankh ke khulte hi 'uzair'
phir nae KHwab mein utra tha purane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.