yahi karan judai ka bana tha
yahī kāran judā.ī kā banā thā
mujhe vo vaqt se pahle milā thā
usī ne zaḳhm bhī itne diye the
jise maiñ jis qadar achchhā lagā thā
mirī maañ dukh meñ mujh ko dekhtī thī
maiñ chhoTā thā magar sab se baḌā thā
udāsī mere pīchhe paḌ ga.ī thī
mirā dil thā yā koī ġham-sarā thā
savāl-e-‘ishq par bole ki haañ hai
jo pūchhā mujh se bas itnā kahā thā
bhañvar se āḳhirī siskī ye ubhrī
hamārā nāḳhudā thā bā-ḳhudā thā
jise sab ‘aql-e-kul samjhe hue the
usī kī 'aql par parda paḌā thā
jahāñ par thak ke maiñ baiThā huā thā
vahāñ se rāstā chalne lagā thā
nahīñ thā vaqt lekin terī ḳhātir
mujhe har shaḳhs se milnā paḌā thā
vo āñkheñ mujh ko ghūre jā rahī thiiñ
maiñ un ko dekh ke sahmā huā thā
mohabbat kā nahīñ hai 'ilm lekin
maiñ un hāthoñ ko aksar chūmtā thā
vo miltā ḳhud-kushī karne se pahle
maiñ us ko baḳhsh denā chāhtā thā
kahīñ par shādiyāne baj rahe the
kisī kā dukh ziyāda ho gayā thā
vo peshānī mujhe achchhī lagī thī
maiñ un hoñToñ kā girvīda huā thā
javāñ beTe ke aañsū poñchhtā thā
vo būḌhā baap jo saThiyā gayā thā
zamīñ paañv paḌī thī varna 'haidar'
mire sar se falak tak rāstā thā
yahi karan judai ka bana tha
mujhe wo waqt se pahle mila tha
usi ne zaKHm bhi itne diye the
jise main jis qadar achchha laga tha
meri man dukh mein mujh ko dekhti thi
main chhoTa tha magar sab se baDa tha
udasi mere pichhe paD gai thi
mera dil tha ya koi gham-sara tha
sawal-e-‘ishq par bole ki han hai
jo puchha mujh se bas itna kaha tha
bhanwar se aaKHiri siski ye ubhri
hamara naKHuda tha ba-KHuda tha
jise sab ‘aql-e-kul samjhe hue the
usi ki 'aql par parda paDa tha
jahan par thak ke main baiTha hua tha
wahan se rasta chalne laga tha
nahin tha waqt lekin teri KHatir
mujhe har shaKHs se milna paDa tha
wo aankhen mujh ko ghure ja rahi thin
main un ko dekh ke sahma hua tha
mohabbat ka nahin hai 'ilm lekin
main un hathon ko aksar chumta tha
wo milta KHud-kushi karne se pahle
main us ko baKHsh dena chahta tha
kahin par shadiyane baj rahe the
kisi ka dukh ziyaada ho gaya tha
wo peshani mujhe achchhi lagi thi
main un honTon ka girwida hua tha
jawan beTe ke aansu ponchhta tha
wo buDha bap jo saThiya gaya tha
zamin panw paDi thi warna 'haidar'
mere sar se falak tak rasta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.