yahi kahenge sabhi ghar ko ghar samajhte hain
yahī kaheñge sabhī ghar ko ghar samajhte haiñ
ye jhuuT vo hai jise bām-o-dar samajhte haiñ
basā basāyā koī is taraf to aatā nahīñ
jo lā-makāñ haiñ vahī dil ko ghar samajhte haiñ
maiñ aise dasht-navardoñ ko saath rakhtā huuñ
kitāb paḌh ke jo apnā safar samajhte haiñ
ye āsmān unhīñ sar-phiroñ se sar hogā
tasavvurāt ko jo bāl-o-par samajhte haiñ
jo nā-samajh haiñ uThāte haiñ zindagī ke maze
samajhne vaale to bas 'umr-bhar samajhte haiñ
shajar shajar se maiñ letā huuñ mashvara har gaam
vo chal na paa.eñ magar rah-guzar samajhte haiñ
'amit-bajāj' koī Dar ko jiit paayā kyā
vo kāmyāb haiñ jo apnā Dar samajhte haiñ
yahi kahenge sabhi ghar ko ghar samajhte hain
ye jhuT wo hai jise baam-o-dar samajhte hain
basa basaya koi is taraf to aata nahin
jo la-makan hain wahi dil ko ghar samajhte hain
main aise dasht-nawardon ko sath rakhta hun
kitab paDh ke jo apna safar samajhte hain
ye aasman unhin sar-phiron se sar hoga
tasawwuraat ko jo baal-o-par samajhte hain
jo na-samajh hain uThate hain zindagi ke maze
samajhne wale to bas 'umr-bhar samajhte hain
shajar shajar se main leta hun mashwara har gam
wo chal na paen magar rah-guzar samajhte hain
'amit-bajaj' koi Dar ko jit paya kya
wo kaamyab hain jo apna Dar samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.