yahi mear ab duniya mein subh-o-sham Thahra hai
yahī me.aar ab duniyā meñ sub.h-o-shām Thahrā hai
havā ke saath chalnā zindagī kā kaam Thahrā hai
kahāñ tak saath degā haq-parastī kā koī āḳhir
sadāqat par hamesha jhuuT kā ilzām Thahrā hai
batā.egā vahī lazzat surūr-o-tishna-kāmī kī
lab-e-dariyā pahuñch kar jo bhī tishna-kām Thahrā hai
sitāre jhāñkne lagte haiñ palkoñ ke darīche se
yahī har muntahā-e-ranj kā anjām Thahrā hai
ga.e vo din ki qātil qābil-e-tāzīr hotā thā
hamāre ahd meñ ab qatl par in.aam Thahrā hai
havāoñ ne bujhāne kī to koshish kī bahut lekin
fasīl-e-shahr par raushan charāġh-e-shām Thahrā hai
vazāhat chāhiye kuchh aur ā.īn-e-siyāsat meñ
abhī ai mohtasib insāf maiñ ib.hām Thahrā hai
maiñ apnī be-gunāhī to abhī sābit na kar paayā
sitam is par tumhārā jurm mere naam Thahrā hai
anā ke zo.am se jab bhī nikal kar baat kī ham ne
hamārā mudda.ā 'siddīq' phir ilhām Thahrā hai
yahi mear ab duniya mein subh-o-sham Thahra hai
hawa ke sath chalna zindagi ka kaam Thahra hai
kahan tak sath dega haq-parasti ka koi aaKHir
sadaqat par hamesha jhuT ka ilzam Thahra hai
bataega wahi lazzat surur-o-tishna-kaami ki
lab-e-dariya pahunch kar jo bhi tishna-kaam Thahra hai
sitare jhankne lagte hain palkon ke dariche se
yahi har muntaha-e-ranj ka anjam Thahra hai
gae wo din ki qatil qabil-e-tazir hota tha
hamare ahd mein ab qatl par inam Thahra hai
hawaon ne bujhane ki to koshish ki bahut lekin
fasil-e-shahr par raushan charagh-e-sham Thahra hai
wazahat chahiye kuchh aur aain-e-siyasat mein
abhi ai mohtasib insaf main ibham Thahra hai
main apni be-gunahi to abhi sabit na kar paya
sitam is par tumhaara jurm mere nam Thahra hai
ana ke zoam se jab bhi nikal kar baat ki hum ne
hamara muddaa 'siddiq' phir ilham Thahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.