yahi miras mein hain milne wale
yahī mīrās meñ haiñ milne vaale
ye ḳhālī ghar haiñ ye un ke qabāle
zarā sā ḳhat unheñ likhnā hai mushkil
bahut se likh diye hoñge maqāle
vo dīvāne vo pyāse ab kahāñ haiñ
garebāñ chaak the paañv meñ chhāle
luTā kar daulat-e-duniyā kisī par
kahā mujh se “ye ġham haiñ to uThā le''
nahīñ hai ham-zabāñ bachchoñ meñ koī
kutub ḳhāna karūñ kis ke havāle
bhalā ye log kyoñ māreñge patthar
ye sab chehre haiñ mere dekhe bhāle
kisī din bech Dāleñge himāla
ye mere rahnumā rahbar jiyāle
karam bhī yaad kar apnoñ ke 'ashraf'
gile shikvoñ ko hoñToñ meñ dabā le
yahi miras mein hain milne wale
ye KHali ghar hain ye un ke qabaale
zara sa KHat unhen likhna hai mushkil
bahut se likh diye honge maqale
wo diwane wo pyase ab kahan hain
gareban chaak the panw mein chhaale
luTa kar daulat-e-duniya kisi par
kaha mujh se “ye gham hain to uTha le
nahin hai ham-zaban bachchon mein koi
kutub KHana karun kis ke hawale
bhala ye log kyon marenge patthar
ye sab chehre hain mere dekhe bhaale
kisi din bech Dalenge himala
ye mere rahnuma rahbar jiyale
karam bhi yaad kar apnon ke 'ashraf'
gile shikwon ko honTon mein daba le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.