yahi nahin ki judai mein mar deta hai
yahī nahīñ ki judā.ī meñ maar detā hai
vo zindagī bhī mujhe be-shumār detā hai
use bhī pyāsā samajhte ho had nahīñ vaise
jo ḳhālī aañkh meñ dariyā utaar detā hai
tum ab to vaqt bhī dete ho is tarah mujh ko
ki jaise koī kisī ko udhār detā hai
ye dene vaale kī gintī ko mas.ala kyā hai
kisī ko ek kisī ko hazār detā hai
judā kare to judā.ī meñ kuchh nahīñ bachtā
qarīb ho to muqaddar sañvār detā hai
kisī ḳhushī pe bhī mujh ko yaqīñ nahīñ aatā
ye dil ḳhushī ko musībat qarār detā hai
yahi nahin ki judai mein mar deta hai
wo zindagi bhi mujhe be-shumar deta hai
use bhi pyasa samajhte ho had nahin waise
jo KHali aankh mein dariya utar deta hai
tum ab to waqt bhi dete ho is tarah mujh ko
ki jaise koi kisi ko udhaar deta hai
ye dene wale ki ginti ko masala kya hai
kisi ko ek kisi ko hazar deta hai
juda kare to judai mein kuchh nahin bachta
qarib ho to muqaddar sanwar deta hai
kisi KHushi pe bhi mujh ko yaqin nahin aata
ye dil KHushi ko musibat qarar deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.