yahi nahin use likhna salam bhul gaya
yahī nahīñ use likhnā salām bhuul gayā
maiñ ḳhat pe us kā pata aur naam bhuul gayā
ye ho gayā thā zarūrī koī pukāre mujhe
maiñ ek roz to apnā hī naam bhuul gayā
maiñ hāfize kī ḳharābī pe is liye ḳhush huuñ
ġhanīm bhuul ga.e intiqām bhuul gayā
kisī ne chalnā sikhāyā thā ek baar mujhe
phir us ke baa'd maiñ jaise qiyām bhuul gayā
use kahānī sunāte hue ḳhayāl aayā
maiñ kyā karūñgā agar iḳhtitām bhuul gayā
nahīñ jo karnā the mujh ko vo kaam yaad rahe
maiñ ghar se niklā thā karne jo kaam bhuul gayā
kisī ke she'r to 'muqsit' maiñ yaad kyā rakhtā
qasam ḳhudā kī maiñ apnā kalām bhuul gayā
yahi nahin use likhna salam bhul gaya
main KHat pe us ka pata aur nam bhul gaya
ye ho gaya tha zaruri koi pukare mujhe
main ek roz to apna hi nam bhul gaya
main hafize ki KHarabi pe is liye KHush hun
ghanim bhul gae intiqam bhul gaya
kisi ne chalna sikhaya tha ek bar mujhe
phir us ke ba'd main jaise qiyam bhul gaya
use kahani sunate hue KHayal aaya
main kya karunga agar iKHtitam bhul gaya
nahin jo karna the mujh ko wo kaam yaad rahe
main ghar se nikla tha karne jo kaam bhul gaya
kisi ke she'r to 'muqsit' main yaad kya rakhta
qasam KHuda ki main apna kalam bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.