yahi paoge mahshar mein zaban meri bayan mera
yahi paoge mahshar mein zaban meri bayan mera
Vinayak Damodar Savarkar
MORE BYVinayak Damodar Savarkar
Interesting Fact
This ghazal was composed during Savarkar's imprisonment at Cellular Jail, Andaman.
yahī pāoge mahshar meñ zabāñ merī bayāñ merā
maiñ banda hind vaalā huuñ yahī hindostāñ merā
maiñ hindustāñ ke ujḌe khanDahar kā ek zarra huuñ
yahī saara pata merā yahī nām-o-nishāñ merā
mirā hai rakt hindī zaat hindī TheTh hindī huuñ
yahī maz.hab yahī firqa yahī hai ḳhāndāñ merā
qadam luuñ mādar-e-hindostāñ ke baiThte uThte
mirī aisī kahāñ qismat nasība ye kahāñ merā
tirī sevā meñ ai bhārat agar sar jaa.e to jaa.e
to maiñ samjhūñ ki hai marnā hayāt-e-jāvidāñ merā
yahi paoge mahshar mein zaban meri bayan mera
main banda hind wala hun yahi hindostan mera
main hindustan ke ujDe khanDahar ka ek zarra hun
yahi sara pata mera yahi nam-o-nishan mera
mera hai rakt hindi zat hindi TheTh hindi hun
yahi mazhab yahi firqa yahi hai KHandan mera
qadam lun madar-e-hindostan ke baiThte uThte
meri aisi kahan qismat nasiba ye kahan mera
teri sewa mein ai bhaarat agar sar jae to jae
to main samjhun ki hai marna hayat-e-jawidan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.