yahi raha justuju ka aalam to jaan-e-alam ko pa hi lenge
yahi raha justuju ka aalam to jaan-e-alam ko pa hi lenge
Rishi Patialvi
MORE BYRishi Patialvi
yahī rahā justujū kā aalam to jān-e-ālam ko pā hī leñge
agar irādoñ ne dam na toḌā savād-e-manzil ko jā hī leñge
hameñ ye mohlat kahāñ ki socheñ gunāh kyā hai savāb kyā hai
vo apnī shān-e-karam ke sadqe gire huoñ ko uThā hī leñge
hisār-e-āvārgī se nikle agar shu.ūr-e-nazar hamārā
unheñ ḳhayāloñ meñ jā hī leñge unheñ tasavvur meñ pā hī leñge
adā-e-rangīñ kī dilkashī se nigāheñ mānūs ho rahī haiñ
nazar farebī ke aa.ine meñ vo naqsh apnā jamā hī leñge
hazār māhaul ajnabī ho hazār pābandiyāñ hoñ lekin
zabān rakhtī hai ḳhāmushī bhī ham apnā qissa sunā hī leñge
'rishī' talāsh-o-talab meñ ham ko ḳhud-e'timādī pe hausla hai
nazar nazar un ko pā hī leñge qadam qadam un ko jā hī leñge
yahi raha justuju ka aalam to jaan-e-alam ko pa hi lenge
agar iradon ne dam na toDa sawad-e-manzil ko ja hi lenge
hamein ye mohlat kahan ki sochen gunah kya hai sawab kya hai
wo apni shan-e-karam ke sadqe gire huon ko uTha hi lenge
hisar-e-awargi se nikle agar shuur-e-nazar hamara
unhen KHayalon mein ja hi lenge unhen tasawwur mein pa hi lenge
ada-e-rangin ki dilkashi se nigahen manus ho rahi hain
nazar farebi ke aaine mein wo naqsh apna jama hi lenge
hazar mahaul ajnabi ho hazar pabandiyan hon lekin
zaban rakhti hai KHamushi bhi hum apna qissa suna hi lenge
'rishi' talash-o-talab mein hum ko KHud-e'timadi pe hausla hai
nazar nazar un ko pa hi lenge qadam qadam un ko ja hi lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.