yahi saza hai charaghon se aashnai ki
yahī sazā hai charāġhoñ se āshnā.ī kī
mire ḳhilāf havāoñ ne kārvā.ī kī
nahīñ khule haiñ ka.ī din se bāñdh āñkhoñ ke
badan pe ek parat jam ga.ī hai kaa.ī kī
darīche khol diye raat phir se maazī ke
tamām samt udāsī se raushnā.ī kī
shab-e-visāl khañgālā varaq varaq us kā
badan-kitāb kī tafsīl se paḌhā.ī kī
asīr-e-ishq banā hī liyā mujhe us ne
qubūl ho hī ga.iiñ arziyāñ rihā.ī kī
kahāñ talāsh rahā hai judā.ī ke ma.anī
mujhe nihār maiñ tafsīr huuñ judā.ī kī
yahi saza hai charaghon se aashnai ki
mere KHilaf hawaon ne karwai ki
nahin khule hain kai din se bandh aankhon ke
badan pe ek parat jam gai hai kai ki
dariche khol diye raat phir se mazi ke
tamam samt udasi se raushnai ki
shab-e-visal khangala waraq waraq us ka
badan-kitab ki tafsil se paDhai ki
asir-e-ishq bana hi liya mujhe us ne
qubul ho hi gain arziyan rihai ki
kahan talash raha hai judai ke mani
mujhe nihaar main tafsir hun judai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.