yahi teri rahmat sila de rahi hai
yahī terī rahmat sila de rahī hai
mirī bebasī bhī mazā de rahī hai
tū pūrab to purbā tū pachchhim to pachhuā
havā bhī terā hī pata de rahī hai
maiñ din-rāt tujh ko karūñ yaad kitnā
mohabbat tirī ab sazā de rahī hai
tere qā.ede meñ qadam kyā paḌe bas
mujhe zindagī ḳhud nishāñ de rahī hai
na nazdīk āñkhoñ ke kījiye sham.a ko
nahīñ to kaheñge daġhā de rahī hai
pahāḌoñ kī sāzish nahīñ to nahīñ ye
ghuTan sī ye kaisī havā de rahī hai
baḌī mushkiloñ se jo sho.ale bujhe haiñ
unheñ saltanat kyuuñ havā de rahī hai
ināyat bhī terī ye kyā de rahī hai
mujhe 'raaj nit din nayā de rahī hai
yahi teri rahmat sila de rahi hai
meri bebasi bhi maza de rahi hai
tu purab to purba tu pachchhim to pachhua
hawa bhi tera hi pata de rahi hai
main din-raat tujh ko karun yaad kitna
mohabbat teri ab saza de rahi hai
tere qaede mein qadam kya paDe bas
mujhe zindagi KHud nishan de rahi hai
na nazdik aankhon ke kijiye shama ko
nahin to kahenge dagha de rahi hai
pahaDon ki sazish nahin to nahin ye
ghuTan si ye kaisi hawa de rahi hai
baDi mushkilon se jo shoale bujhe hain
unhen saltanat kyun hawa de rahi hai
inayat bhi teri ye kya de rahi hai
mujhe 'raj nit din naya de rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.