yahi to ek shikayat safar mein rahti hai
yahī to ek shikāyat safar meñ rahtī hai
havā-e-gard musalsal nazar meñ rahtī hai
jazā-e-kāvish-e-ta.amīr ye milī hai hameñ
sadā-e-tesha sadā saath ghar meñ rahtī hai
hunar kisī meñ ho qismat hai us kī dar-badarī
ki āb-o-tāb-e-guhar kab guhar meñ rahtī hai
samā.atoñ kā payambar hī ban sake to sune
vo dāstāñ jo lab-e-chashm-e-tar meñ rahtī hai
har ek sub.h pe maqtal kā ho rahā hai gumāñ
na jaane kaun sī surḳhī ḳhabar meñ rahtī hai
yahi to ek shikayat safar mein rahti hai
hawa-e-gard musalsal nazar mein rahti hai
jaza-e-kawish-e-tamir ye mili hai hamein
sada-e-tesha sada sath ghar mein rahti hai
hunar kisi mein ho qismat hai us ki dar-badari
ki aab-o-tab-e-guhar kab guhar mein rahti hai
samaaton ka payambar hi ban sake to sune
wo dastan jo lab-e-chashm-e-tar mein rahti hai
har ek subh pe maqtal ka ho raha hai guman
na jaane kaun si surKHi KHabar mein rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.