yahi to masala Thahra ki aab-o-gil nahin milte
yahī to mas.ala Thahrā ki āb-o-gil nahīñ milte
yahāñ bas haath milte haiñ ki dil se dil nahīñ milte
takalluf bartaraf rakh kar jo tanhā.ī meñ milte haiñ
ḳhudā jaane vo kyuuñ āḳhir sar-e-mahfil nahīñ milte
salāmat haiñ ḳhudā ke fazl se ham aisī duniyā meñ
jahāñ lāsheñ to miltī haiñ magar qātil nahīñ milte
jahāñ ke zarre zarre se sadā-e-adl aatī thī
usī insāf ke mandir meñ ab aadil nahīñ milte
ham aisī kashtī-e-be-bādbānī ke musāfir haiñ
jise tūfāñ to milte haiñ magar sāhil nahīñ milte
chaḌhā rakhā hai ġhāza jab se apne apne chehroñ par
nazar aate haiñ ahl-e-haq sabhī bātil nahīñ milte
ai 'tashna' nā-ummīdī kufr hai so justujū kar leñ
agarche ahmaqoñ ke shahr meñ aaqil nahīñ milte
yahi to masala Thahra ki aab-o-gil nahin milte
yahan bas hath milte hain ki dil se dil nahin milte
takalluf bartaraf rakh kar jo tanhai mein milte hain
KHuda jaane wo kyun aaKHir sar-e-mahfil nahin milte
salamat hain KHuda ke fazl se hum aisi duniya mein
jahan lashen to milti hain magar qatil nahin milte
jahan ke zarre zarre se sada-e-adl aati thi
usi insaf ke mandir mein ab aadil nahin milte
hum aisi kashti-e-be-baadbani ke musafir hain
jise tufan to milte hain magar sahil nahin milte
chaDha rakha hai ghaza jab se apne apne chehron par
nazar aate hain ahl-e-haq sabhi baatil nahin milte
ai 'tashna' na-ummidi kufr hai so justuju kar len
agarche ahmaqon ke shahr mein aaqil nahin milte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.