yahi to soch ke halkan tha main sara din
yahī to soch ke halkān thā maiñ saarā din
ki mere baa'd bhī kaTtā rahā tumhārā din
mujhe pata hai tirā falsafa zarūrat hai
isī liye to mire baa'd bhī guzārā din
ham aaj shaam se pahle na lauT pā.eñge
kahāñ ye lambā safar aur kahāñ hamārā din
ham ahl-e-hijr haiñ rātoñ ko jāgne vaale
hamāre vāste tū ne nahīñ utārā din
hameñ bhī vasl ke lamhe 'azīz haiñ jānāñ
hameñ bhī zindagī se de koī udhārā din
hasīn lagne lagī hai tamām duniyā mujhe
tumhārī aañkh ne aise mirā sañvārā din
yahi to soch ke halkan tha main sara din
ki mere ba'd bhi kaTta raha tumhaara din
mujhe pata hai tera falsafa zarurat hai
isi liye to mere ba'd bhi guzara din
hum aaj sham se pahle na lauT paenge
kahan ye lamba safar aur kahan hamara din
hum ahl-e-hijr hain raaton ko jagne wale
hamare waste tu ne nahin utara din
hamein bhi wasl ke lamhe 'aziz hain jaanan
hamein bhi zindagi se de koi udhaara din
hasin lagne lagi hai tamam duniya mujhe
tumhaari aankh ne aise mera sanwara din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.