yak-ba-yak dil se tera jalwa-numa ho jaana
yak-ba-yak dil se tirā jalva-numā ho jaanā
vo mirā husn ke sho.aloñ meñ fanā ho jaanā
dekh dil ko mire tū ne na agar dekhā ho
TuuT kar saaz kā mahrūm-e-sadā ho jaanā
al-amāñ kī rasan-o-dār se aatī hai sadā
koī āsāñ hai gunahgār-e-vafā ho jaanā
mujh se tark-e-gunah-e-ishq kā tū ahd na le
ki maiñ insān huuñ mumkin hai ḳhatā ho jaanā
lazzat-e-ishq kī mazbūt huiiñ buniyādeñ
aa gayā dard-e-mohabbat ko davā ho jaanā
vo girah-bandī-e-taqdīr tasavvur meñ tire
vo tabassum kā tire uqda-kushā ho jaanā
jazba-e-ishq kī ye shān-e-talavvun tauba
kabhī dard aur kabhī dast-e-duā ho jaanā
'ārzū' kī qasam ai kūcha-e-jānāñ tujh ko
kis se sīkhā tire zarroñ ne ḳhudā ho jaanā
yak-ba-yak dil se tera jalwa-numa ho jaana
wo mera husn ke shoalon mein fana ho jaana
dekh dil ko mere tu ne na agar dekha ho
TuT kar saz ka mahrum-e-sada ho jaana
al-aman ki rasan-o-dar se aati hai sada
koi aasan hai gunahgar-e-wafa ho jaana
mujh se tark-e-gunah-e-ishq ka tu ahd na le
ki main insan hun mumkin hai KHata ho jaana
lazzat-e-ishq ki mazbut huin buniyaaden
aa gaya dard-e-mohabbat ko dawa ho jaana
wo girah-bandi-e-taqdir tasawwur mein tere
wo tabassum ka tere uqda-kusha ho jaana
jazba-e-ishq ki ye shan-e-talawwun tauba
kabhi dard aur kabhi dast-e-dua ho jaana
'arzu' ki qasam ai kucha-e-jaanan tujh ko
kis se sikha tere zarron ne KHuda ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.