yak-ba-yak kashf-o-karamat bhi ho sakti hai
yak-ba-yak kashf-o-karāmāt bhī ho saktī hai
sīdhe-sādoñ kī ye auqāt bhī ho saktī hai
tai-shuda vaqt izāfī bhī to ho saktā hai
din nikalte hī kabhī raat bhī ho saktī hai
dil bhī ġhamgīn hai aur ashk se bojhal palkeñ
aise hālāt haiñ barsāt bhī ho saktī hai
tanziya taur se muskān khulī hai lab par
ye kisī ġham kī shurū'āt bhī ho saktī hai
bevafā kah ke jinheñ chhoḌ diyā thā 'āsif'
raah meñ un se mulāqāt bhī ho saktī hai
yak-ba-yak kashf-o-karamat bhi ho sakti hai
sidhe-sadon ki ye auqat bhi ho sakti hai
tai-shuda waqt izafi bhi to ho sakta hai
din nikalte hi kabhi raat bhi ho sakti hai
dil bhi ghamgin hai aur ashk se bojhal palken
aise haalat hain barsat bhi ho sakti hai
tanziya taur se muskan khuli hai lab par
ye kisi gham ki shuru'at bhi ho sakti hai
bewafa kah ke jinhen chhoD diya tha 'asif'
rah mein un se mulaqat bhi ho sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.