yak-ba-yak kyun band darwaze hue
yak-ba-yak kyuuñ band darvāze hue
the vo āyāt-e-mubīñ oḌhe hue
bahr-e-zulmat kā safar dar-pesh hai
haiñ havā meñ bāl-o-par jalte hue
band kamroñ se nikalte hī nahīñ
ai havā kyā tere mansūbe hue
aab o saaya ek dhokā hī sahī
is se pahle bhī ka.ī dhoke hue
barq thī mausam shagūfoñ kā na thā
shīshe kī saḌkoñ pe dīvāne hue
us kī āñkhoñ meñ thī kaisī raushnī
dekhne paa.e na the andhe hue
yak-ba-yak kyun band darwaze hue
the wo aayat-e-mubin oDhe hue
bahr-e-zulmat ka safar dar-pesh hai
hain hawa mein baal-o-par jalte hue
band kamron se nikalte hi nahin
ai hawa kya tere mansube hue
aab o saya ek dhoka hi sahi
is se pahle bhi kai dhoke hue
barq thi mausam shagufon ka na tha
shishe ki saDkon pe diwane hue
us ki aankhon mein thi kaisi raushni
dekhne pae na the andhe hue
- Book : Sarsabz (Pg. 37)
- Author : Krishan Kumar Toor
- Publication : Sarsabz Dharamshala (April to September 2013)
- Edition : April to September 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.