yaksan hai dhuan jalte KHarabe ki mahak tak
yaksāñ hai dhuāñ jalte ḳharābe kī mahak tak
sannāTe kā ghar se diyā sunsān saḌak tak
pahle hī kahā thā mire dāman se pare rah
aa hī gayā tū bhī unhīñ sho.aloñ kī lapak tak
ab maiñ huuñ faqat aur koī hāñptā sahrā
aa.ī thī mire saath un ashkoñ kī kumak tak
do kashtiyāñ kāġhaz kī bahā leñ chalo ham tum
phir to hameñ milnā nahīñ ḳhvāboñ kī palak tak
itnī to sazā saḳht na aatī huī rut de
ruḳhsat ho jo biite hue mausam kī kasak tak
dīvār hī niklī pas-e-dīvār fusūñ rañg
kohrā hī bikhartā milā chehroñ kī dhanak tak
indar se sulagte ho musavvir jo khañDar se
kho aa.e ho jā kar kahāñ āñkhoñ kī chamak tak
yaksan hai dhuan jalte KHarabe ki mahak tak
sannaTe ka ghar se diya sunsan saDak tak
pahle hi kaha tha mere daman se pare rah
aa hi gaya tu bhi unhin shoalon ki lapak tak
ab main hun faqat aur koi hanpta sahra
aai thi mere sath un ashkon ki kumak tak
do kashtiyan kaghaz ki baha len chalo hum tum
phir to hamein milna nahin KHwabon ki palak tak
itni to saza saKHt na aati hui rut de
ruKHsat ho jo bite hue mausam ki kasak tak
diwar hi nikli pas-e-diwar fusun rang
kohra hi bikharta mila chehron ki dhanak tak
indar se sulagte ho musawwir jo khanDar se
kho aae ho ja kar kahan aankhon ki chamak tak
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 94)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.