yakta-e-rozgar nahin fikr-o-fan mein hum
yaktā-e-rozgār nahīñ fikr-o-fan meñ ham
ye kam nahīñ ki baiThe haiñ ahl-e-suḳhan meñ ham
taz.īn-e-kā.enāt hī hai maqsad-e-hayāt
shabnam jo haiñ chaman meñ to anjum gagan meñ ham
ġhurbat ne kī hai is tarah taz.īn-e-zindagī
lagte haiñ shāhkār har ik pairahan meñ ham
tauba na yaad aa.ī gunāhoñ kī bhiiḌ meñ
ab muñh chhupā.e jaate haiñ dekho kafan meñ ham
āsūda-e-hayāt rahe jis kī god meñ
dafnā.e jā.eñge isī ḳhāk-e-vatan meñ ham
tasḳhīr-e-kā.enāt meñ masrūf hai jahāñ
uljhe hue haiñ aaj bhī rasm-e-kuhan meñ ham
khāte raheñge yūñhī zamāne kī Thokareñ
āvāra-e-nifāq haiñ jab tak vatan meñ ham
taslīm ḳhush-libāsī meñ guzrī hai zindagī
kitne hasīn lagte haiñ lekin kafan meñ ham
kartī hai rashk gardish-e-daurāñ bhī aaj tak
is tarah shādmāñ rahe ranj-o-mehan meñ ham
be-sāḳhta chhalak paḌī hai chashm-e-iltifāt
yuuñ sangsār-e-ġham rahe haiñ anjuman meñ ham
jaur-o-sitam ko had se guzar jaane do 'tarab'
haq kā nisāb lā.eñge apne vatan meñ ham
yakta-e-rozgar nahin fikr-o-fan mein hum
ye kam nahin ki baiThe hain ahl-e-suKHan mein hum
tazin-e-kaenat hi hai maqsad-e-hayat
shabnam jo hain chaman mein to anjum gagan mein hum
ghurbat ne ki hai is tarah tazin-e-zindagi
lagte hain shahkar har ek pairahan mein hum
tauba na yaad aai gunahon ki bhiD mein
ab munh chhupae jate hain dekho kafan mein hum
aasuda-e-hayat rahe jis ki god mein
dafnae jaenge isi KHak-e-watan mein hum
tasKHir-e-kaenat mein masruf hai jahan
uljhe hue hain aaj bhi rasm-e-kuhan mein hum
khate rahenge yunhi zamane ki Thokaren
aawara-e-nifaq hain jab tak watan mein hum
taslim KHush-libasi mein guzri hai zindagi
kitne hasin lagte hain lekin kafan mein hum
karti hai rashk gardish-e-dauran bhi aaj tak
is tarah shadman rahe ranj-o-mehan mein hum
be-saKHta chhalak paDi hai chashm-e-iltifat
yun sangsar-e-gham rahe hain anjuman mein hum
jaur-o-sitam ko had se guzar jaane do 'tarab'
haq ka nisab laenge apne watan mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.