yaqin-e-husn liye rang-e-etibar liye
yaqīn-e-husn liye rañg-e-e'tibār liye
ḳhizāñ ne aaj bahāroñ ke ruup dhaar liye
hayāt jin ke tasavvur se kaañp uThtī hai
na jaane ham ne vo din kis tarah guzār liye
tire baġhair magar zindagī meñ chain kahāñ
agarche gesū-e-hālāt bhī sañvār liye
maqām-e-dār se aage ḳhabar nahīñ kyā hai
pahuñch ga.e haiñ yahāñ tak to un kā pyaar liye
nigāh-e-shauq chaman meñ ho kaise āsūda
har ek phuul hai dāman meñ apne ḳhaar liye
tabāhiyoñ ke sivā kuchh nahīñ mohabbat meñ
ḳhizā.eñ aatī haiñ hamrāh ye bahār liye
kisī kī ek nigāh-e-karam kī hasrat meñ
ḳhud apne dil pe hazāroñ sitam guzār liye
hai un kī bazm haqīqat meñ bazm-e-aish-o-nashāt
vahāñ na jaa.e koī tab.a-e-sogvār liye
na ab bhī jhuum uThe zindagī to kyā kahiye
uThī to hai vo nazar rūh-e-sad-ḳhumār liye
'ḳhalish' kahāñ hai jo dair-o-haram meñ DhūñDte ho
use zamāna huā rāh-e-kū-e-yār liye
yaqin-e-husn liye rang-e-e'tibar liye
KHizan ne aaj bahaaron ke rup dhaar liye
hayat jin ke tasawwur se kanp uThti hai
na jaane hum ne wo din kis tarah guzar liye
tere baghair magar zindagi mein chain kahan
agarche gesu-e-haalat bhi sanwar liye
maqam-e-dar se aage KHabar nahin kya hai
pahunch gae hain yahan tak to un ka pyar liye
nigah-e-shauq chaman mein ho kaise aasuda
har ek phul hai daman mein apne KHar liye
tabahiyon ke siwa kuchh nahin mohabbat mein
KHizaen aati hain hamrah ye bahaar liye
kisi ki ek nigah-e-karam ki hasrat mein
KHud apne dil pe hazaron sitam guzar liye
hai un ki bazm haqiqat mein bazm-e-aish-o-nashat
wahan na jae koi taba-e-sogwar liye
na ab bhi jhum uThe zindagi to kya kahiye
uThi to hai wo nazar ruh-e-sad-KHumar liye
'KHalish' kahan hai jo dair-o-haram mein DhunDte ho
use zamana hua rah-e-ku-e-yar liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.