yaqin-e-nur ho dil mein to shab gawara hai
yaqīn-e-nūr ho dil meñ to shab gavārā hai
sahar ne raat ke us paar se pukārā hai
na khaao ḳhauf tilismāt-e-manzar-e-shab se
fareb-e-sho'la-e-zulmat hai jo nazāra hai
bañdhā huā hai nigāhoñ se mehr-e-tābāñ tak
chale chalo ki ye tār-e-nazar sahārā hai
abhī se shikva-e-ayyām-e-rafta che-mā'nī
abhī to raat hamārī hai din hamārā hai
dhaḌak bhī jaa.e to chingāriyāñ sī uThtī haiñ
ye dil nahīñ mire siine meñ sang-e-ḳhārā hai
hujūm-e-kār-e-musalsal ne kar diyā tanhā
mirī kamā.ī munāfa' nahīñ ḳhasāra hai
yaqin-e-nur ho dil mein to shab gawara hai
sahar ne raat ke us par se pukara hai
na khao KHauf tilismat-e-manzar-e-shab se
fareb-e-sho'la-e-zulmat hai jo nazara hai
bandha hua hai nigahon se mehr-e-taban tak
chale chalo ki ye tar-e-nazar sahaara hai
abhi se shikwa-e-ayyam-e-rafta che-ma'ni
abhi to raat hamari hai din hamara hai
dhaDak bhi jae to chingariyan si uThti hain
ye dil nahin mere sine mein sang-e-KHara hai
hujum-e-kar-e-musalsal ne kar diya tanha
meri kamai munafa' nahin KHasara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.