yaqin kar le sar-e-sham koi chaara nahin
yaqīn kar le sar-e-shām koī chāra nahīñ
binā diye ke añdhere tirā guzārā nahīñ
hamīñ haiñ markazī kirdār pūchh lo us se
abhī tak us ne kahānī meñ ham ko maarā nahīñ
badal to dī hai har ik chiiz us ne kamre kī
magar hameñ abhī dīvār se utārā nahīñ
hameñ ḳhabar hai ki manzil to ek hai lekin
jidhar zamāna hai vo rāsta hamārā nahīñ
judā hue haiñ to ham ek ho bhī sakte haiñ
ḳhalā hai darmiyāñ dariyāoñ kā kinārā nahīñ
ye raaz khol diyā kab kā dasht-o-sahrā ne
baġhair majnūñ ke lailā tirā guzārā nahīñ
tamām ahl-e-adab kī ye raa.e hai 'dilbar'
ġhazal ke fan pe kisī kā koī ijārā nahīñ
yaqin kar le sar-e-sham koi chaara nahin
bina diye ke andhere tera guzara nahin
hamin hain markazi kirdar puchh lo us se
abhi tak us ne kahani mein hum ko mara nahin
badal to di hai har ek chiz us ne kamre ki
magar hamein abhi diwar se utara nahin
hamein KHabar hai ki manzil to ek hai lekin
jidhar zamana hai wo rasta hamara nahin
juda hue hain to hum ek ho bhi sakte hain
KHala hai darmiyan dariyaon ka kinara nahin
ye raaz khol diya kab ka dasht-o-sahra ne
baghair majnun ke laila tera guzara nahin
tamam ahl-e-adab ki ye rae hai 'dilbar'
ghazal ke fan pe kisi ka koi ijara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.