yaqin kiye hue hain wo guman se pahle
yaqin kiye hue hain wo guman se pahle
Gunjan Nagar Shayar Bakar
MORE BYGunjan Nagar Shayar Bakar
yaqīñ kiye hue haiñ vo gumān se pahle
sugandh aa rahī hai za.afrān se pahle
mujhe hī mere aham ne girā diyā aisā
maiñ thak gayā zarā sā ab uḌaan se pahle
mujhe nahīñ milā mauqa vafā nibhāne kā
maiñ fail ho gayā thā imtihān se pahle
ye dhyān meñ rakho ke jab bhī ho koī sankoch
ye man sunā.egā hī sach ko kaan se pahle
ye dharm punn nibhāne kā yug nahīñ hai ab
asaty biich meñ rakkhā hai gyaan se pahle
yaqin kiye hue hain wo guman se pahle
sugandh aa rahi hai zafran se pahle
mujhe hi mere aham ne gira diya aisa
main thak gaya zara sa ab uDan se pahle
mujhe nahin mila mauqa wafa nibhane ka
main fail ho gaya tha imtihan se pahle
ye dhyan mein rakho ke jab bhi ho koi sankoch
ye man sunaega hi sach ko kan se pahle
ye dharm punn nibhane ka yug nahin hai ab
asaty bich mein rakkha hai gyan se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.