yaqin ko sinchna hai KHwabon ko palna hai
yaqīn ko sīñchnā hai ḳhvāboñ ko pālnā hai
bachā hai thoḌā sā jo asāsa sambhālnā hai
savāl ye hai chhuḌā leñ mas.aloñ se dāman
ki in meñ rah kar hī koī rasta nikālnā hai
jahān-e-saudāgarī meñ dil kā vakīl ban kar
is ahd kī munsifī ko hairat meñ Dālnā hai
jo mujh meñ baiThā uḌātā rahtā hai niiñd merī
mujhe ab us aadmī ko bāhar nikālnā hai
zamīn zaḳhmoñ pe tere marham bhī ham rakheñge
abhī gaḌī sūiyoñ ko tan se nikālnā hai
kisī ko maidān meñ utarnā hai jītnā hai
kisī ko tā-umr sirf sikka uchhālnā hai
ye naav kāġhaz kī jis ne naddī to paar kar lī
kuchh aur sīkhe ab is ko dariyā meñ Dālnā hai
yaqin ko sinchna hai KHwabon ko palna hai
bacha hai thoDa sa jo asasa sambhaalna hai
sawal ye hai chhuDa len masalon se daman
ki in mein rah kar hi koi rasta nikalna hai
jahan-e-saudagari mein dil ka wakil ban kar
is ahd ki munsifi ko hairat mein Dalna hai
jo mujh mein baiTha uData rahta hai nind meri
mujhe ab us aadmi ko bahar nikalna hai
zamin zaKHmon pe tere marham bhi hum rakhenge
abhi gaDi suiyon ko tan se nikalna hai
kisi ko maidan mein utarna hai jitna hai
kisi ko ta-umr sirf sikka uchhaalna hai
ye naw kaghaz ki jis ne naddi to par kar li
kuchh aur sikhe ab is ko dariya mein Dalna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.