yaqin lafz ki taswir bante ja rahe hain
yaqīn lafz kī tasvīr bante jā rahe haiñ
gumān gūñge kī taqrīr bante jā rahe haiñ
hameñ na dekh ki ham log phoḌ kar āñkheñ
kisī ke ḳhvāb kī tā'bīr bante jā rahe haiñ
jinheñ ragoñ meñ utārā thā ehtimām ke saath
vo log zahr kī tāsīr bante jā rahe haiñ
radīf qāfiya bahreñ samajh meñ aatī nahīñ
ye kal ke lauñDe miyāñ 'mīr' bante jā rahe haiñ
use ḳhudā na kaheñ aur kyā kaheñ 'sāhib'
ki jis ke faisle taqdīr bante jā rahe haiñ
yaqin lafz ki taswir bante ja rahe hain
guman gunge ki taqrir bante ja rahe hain
hamein na dekh ki hum log phoD kar aankhen
kisi ke KHwab ki ta'bir bante ja rahe hain
jinhen ragon mein utara tha ehtimam ke sath
wo log zahr ki tasir bante ja rahe hain
radif qafiya bahren samajh mein aati nahin
ye kal ke launDe miyan 'mir' bante ja rahe hain
use KHuda na kahen aur kya kahen 'sahib'
ki jis ke faisle taqdir bante ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.