yaqin sab kuchh guman kuchh bhi nahin hai
yaqīñ sab kuchh gumāñ kuchh bhī nahīñ hai
jahāñ meñ jāvedāñ kuchh bhī nahīñ hai
farā.ez haiñ amal hai yā ḳhudā hai
sivā us ke jahāñ kuchh bhī nahīñ hai
aqīdat raah dikhlātī rahī hai
nishān-e-be-nishāñ kuchh bhī nahīñ hai
zamīñ terī falak terā ḳhudāyā
hamārā to yahāñ kuchh bhī nahīñ hai
dil-e-pur-dard pahlū meñ liye haiñ
kaheñ kaise ki haañ kuchh bhī nahīñ hai
ḳhalā hai ek siine meñ hamāre
yahīñ kuchh thā jahāñ kuchh bhī nahīñ hai
tamanna kis liye hai zindagī kī
agar umr-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ hai
talāsh-e-mustaqil hī zindagī hai
yaqīñ hai ye gumāñ kuchh bhī nahīñ hai
tasavvur aap kā laayā vahāñ par
jahāñ par āsmāñ kuchh bhī nahīñ hai
hamārī aql par parda paḌā hai
haqīqat meñ nihāñ kuchh bhī nahīñ hai
'sadaf' ke dil meñ hai vahdat kā jalva
magar vird-e-zabāñ kuchh bhī nahīñ hai
yaqin sab kuchh guman kuchh bhi nahin hai
jahan mein jawedan kuchh bhi nahin hai
faraez hain amal hai ya KHuda hai
siwa us ke jahan kuchh bhi nahin hai
aqidat rah dikhlati rahi hai
nishan-e-be-nishan kuchh bhi nahin hai
zamin teri falak tera KHudaya
hamara to yahan kuchh bhi nahin hai
dil-e-pur-dard pahlu mein liye hain
kahen kaise ki han kuchh bhi nahin hai
KHala hai ek sine mein hamare
yahin kuchh tha jahan kuchh bhi nahin hai
tamanna kis liye hai zindagi ki
agar umr-e-rawan kuchh bhi nahin hai
talash-e-mustaqil hi zindagi hai
yaqin hai ye guman kuchh bhi nahin hai
tasawwur aap ka laya wahan par
jahan par aasman kuchh bhi nahin hai
hamari aql par parda paDa hai
haqiqat mein nihan kuchh bhi nahin hai
'sadaf' ke dil mein hai wahdat ka jalwa
magar wird-e-zaban kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.