yaqin se bhi gae aur guman se bhi gae
yaqīn se bhī ga.e aur gumān se bhī ga.e
vafūr-e-‘ishq meñ ham tere dhyān se bhī ga.e
chalī ye kaisī havā sāhibān-e-'izz-o-vaqār
zarā sī der lagī apnī shaan se bhī ga.e
kisī tarah se vafā to nibhā dī ham ne magar
hameñ ye dukh hai ki ham apnī jaan se bhī ga.e
rahe zamīñ pe to baaqī parindagī na rahī
uḌe to yuuñ ki phir apnī uḌaan se bhī ga.e
bahut haqīr sahī qadr apne fan kī kareñ
na ye rahā to miyāñ shahd-o-nān se bhī ga.e
ki sāf-goī-o-haq-goī ke junūñ meñ 'doraib'
ham aise log to apnī zabān se bhī ga.e
yaqin se bhi gae aur guman se bhi gae
wafur-e-‘ishq mein hum tere dhyan se bhi gae
chali ye kaisi hawa sahiban-e-'izz-o-waqar
zara si der lagi apni shan se bhi gae
kisi tarah se wafa to nibha di hum ne magar
hamein ye dukh hai ki hum apni jaan se bhi gae
rahe zamin pe to baqi parindagi na rahi
uDe to yun ki phir apni uDan se bhi gae
bahut haqir sahi qadr apne fan ki karen
na ye raha to miyan shahd-o-nan se bhi gae
ki saf-goi-o-haq-goi ke junun mein 'doraib'
hum aise log to apni zaban se bhi gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.