yaqin se bhi gae ehtimal se bhi gae
yaqīn se bhī ga.e ehtimāl se bhī ga.e
ham apne 'ahd meñ ḳhvāb-o-ḳhayāl se bhī ga.e
du'ā ke haath kaTe ḳhvāhishoñ ke dil TuuTe
javāb se bhī ga.e ham savāl se bhī ga.e
tamām log ḳhudā-tars hote jaate haiñ
amīr-e-shahr ‘urūj-o-zavāl se bhī ga.e
kise yaqīn dilā.eñ ki ham bhī zinda haiñ
anā ke zaḳhmī ḳhudā indimāl se bhī ga.e
bahut hī mahñgā paḌā un ko shauq-e-ham-safarī
palaT ke aa.e to ḳhud apnī chaal se bhī ga.e
junūñ hai zīnat-e-tahzīb-e-mahfil-e-yārāñ
amīn-e-hosh-o-ḳhirad 'arz-e-hāl se bhī ga.e
hamārā zikr hai dīmak-zada kitāboñ meñ
ham ahl-e-'ilm-o-hunar the misāl se bhī ga.e
badan ko toḌ rahī hai na.ī rutoñ kī thakan
ye karb-e-hijr ke lamhe visāl se bhī ga.e
palaT ke jaane kī himmat muhājiroñ meñ na thī
vatan se bhī ga.e ahl-o-'ayāl se bhī ga.e
hamāre dost saf-e-dushmanāñ meñ shāmil haiñ
ham aise sāda-mizāj apnī Dhaal se bhī ga.e
yaqin se bhi gae ehtimal se bhi gae
hum apne 'ahd mein KHwab-o-KHayal se bhi gae
du'a ke hath kaTe KHwahishon ke dil TuTe
jawab se bhi gae hum sawal se bhi gae
tamam log KHuda-tars hote jate hain
amir-e-shahr ‘uruj-o-zawal se bhi gae
kise yaqin dilaen ki hum bhi zinda hain
ana ke zaKHmi KHuda indimal se bhi gae
bahut hi mahnga paDa un ko shauq-e-ham-safari
palaT ke aae to KHud apni chaal se bhi gae
junun hai zinat-e-tahzib-e-mahfil-e-yaran
amin-e-hosh-o-KHirad 'arz-e-haal se bhi gae
hamara zikr hai dimak-zada kitabon mein
hum ahl-e-'ilm-o-hunar the misal se bhi gae
badan ko toD rahi hai nai ruton ki thakan
ye karb-e-hijr ke lamhe visal se bhi gae
palaT ke jaane ki himmat muhajiron mein na thi
watan se bhi gae ahl-o-'ayal se bhi gae
hamare dost saf-e-dushmanan mein shamil hain
hum aise sada-mizaj apni Dhaal se bhi gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.